"MOHSIN NAQVI"
Us ki batoon sa he tabiyat sabhal saka gi
.Kahin MOHSIN ko dhond lao udaas logo
======================================
bichad k mujh se kabhi tu ne yeh bhi socha haiadhoora chand bhi kitna udaas lagta hai
kuch or dair na jhadna udasiyooon k shajar
kise khabar tere saye main kon baitha hai
ese ganwa k main zinda hoo es tarah MOHSIN
k jaise taiz hawa main charagh jalta hai
==============================Bhool jana bhi ose yad bhi kerte rehna
bohat acha lagta hai esi dhun main bikharte rehna
hijar waloo se badi der se seekha hai hum ne
zinda rehne k liye jaaaan se guzarte rehena
kia kahoo k meri neend main kiu khalal dakta hai
chand k aks k apni mai tuerte rehna
mager ager toot bhi ajo tu phir bhi aina hoo
tum mere bad bahertor sanwarte rehna
sham hote hi dobte soraj ki hai Adat"MOHSIN"
subha hotey hi mere sath ubhartey rehna
---------------------------------------------------------------------------
Patto ki tara khud se bikharte hoye kuch logapas main bhi milte hain tu derte hoye kuch log
yeh dil bhi ajab aina khana hai k es mian
abad hain her lamha sanwarte hoye kuch log
sehraoo ki wusatt pe anab tanz hain"MOHSIN"
chadhte hye dariya main utarte hoye kuch log
-----------------------raat 12:30----------------------
Zindagi kia hai kabhi dil mujhe samjhaye tu!
Mot achi hai ager waqt pe aa jaye tu!
mujh ko zid hai k jo milna hai falak se utre!
os ki khawais hai daman koi phailaye tu!
kitni sadiyoo ki rafaqat main ose pehna doo!
shart yeh hai wo musafir kabhi lot aye tu!
dhoop"MOHSIN"hai ghaniat mujhe ab bhi laikin!
meri tanhayi ko saya mera behlaye tu _____ !
----------------raat 2:45----------------------------
Jab ankh main kuch khaak si udti nazar ayi
samjhe sabhikhush fahem hadde safar ayi
ik umer tu jage the k chat jaye andhera
pal bher ko lagi ankh tu milne seher ayi
dil main hai ajab saat-e-no rooz ka alam
bholi hoyi ik yad sare shaam gher ayi
os ne bhi kia rah badalne ka irada
ik tuhmate paiham thi k"MOHSIN"k sir ayi
-----------------6:30subha---------------------------
badan main utrain thakan k saye tu neend aye
yeh dil kahani koyi sunaye tu neend aye
bhuji bhuji raat ki hatheli per mukra ker!
charaghe wada koi jalaye tu neend aye
hawa ki khawahish pe kon ankhain ujadta hai
diye ki lo khud se ther theraye tu neend aye
bas eik ansoo bohat hai"MOHSIN"k jagne ko
yeh ik stara koi bhujaye tu neend aye
----------------1:30pm-------------------------
kabhi kabhi hum sahi waja k liye ghalat kaam ker baithtay hain es liye hamain zindagi main sirf khush hi rehna chihiye
..............................................................................................................jab koi hum se bichadta hai tu os ka dukh zaroor hota hai kisi ko kum kisi ko zada or kisi ko adha dukh os k janey ka nahi hota os se bichad na k nahi hota or na hi os k janey ka nahi hota DUKh hota zaroor hai sirf es liye k insaan khud tanha ho jata laikin jab koi doosra aa ker hamarey dukh baanta hai tu hamain tanha k ahsaas khatam ho jata
----------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------milla tu beetey dinoon ka sach os ki ankho main tha
wo ash jis se muddatoon ajnabi raha hoo main
wo ajnabi ban k ab milay bhi tu kia hai MOSHIN
kia yeh naaz kam hai k main bhi kabhi os ka raha hoo
.................................................................................................
jaise main ashnaye chaman hi na tha
guzri hai ik subhah yun bhi mere samney
wo lamhay nazolo qayamat hi sahi
ik din aya mera khuda mere samney
kal tak jo ainey se bhi nazuk mizaag tha
MOHSIN wo shaks toot gaya aj mere samney
,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
har nafs ard k sanchey main dhala ho jaise
ru bhi kuch dair mere saath raha ho jaise
lay gayi yun bhi mujhe khawaboo k jazeeroo ki taraf
tera aks mere ainey main dhala ho jaise
aaj phir on se mulaqat hoyi hai MOSHIN
aj phir Dil pe koi naya zakhm laga ho jaise
-----------------------------------------------------------------
kcuh log chalay jatey hain wapis nahi atey
ham bhoolna bhi chahain tu bhula nahi patey
yeh chaand sitarey aksar mujhe karety hain naseehat
MOHSIN ratoo ko phira kerety ho so kiu nahi jatey
''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''
marka ab k howa tu phir yun ho ga
treri darya pe meri pyas ka pehra hoo
kitney jugno esi khawahish main mere saath chalay
koi rasta tere gher ko bhi tu jata ho ga
main bhi apne aap ko bhulaye phirta hoo bohat
aina os ne bhi kuch rooz se na dekha ho ga
rat jal thal thi meri ankhoon main utar aya
soort-e-abar koi tooot k barsaa ho ga
ya maseehayi ose bhool gayi hai MOHSIN
ya phir aisa hai mera zakhm hi gehra ho ga
;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;;
tamam shab jaha jalta hai ik udaas diya
hawa ki rahoo main ik aisa ghar bhi ata hai
wo mujhe toot k chahay ga chod jaye ga
mujhe khabar thi ose yeh hunar bhi ata hai
wafa ki konsi manzil pe choda hai os ne
k wo yad hamain bhool ker bhi ata hai
esi iye main kisi shab na soo saka MOHSIN
wo mahtaab kabhi baam per bhi tu ata hai
--------------------------------><---------------------------------
main jaa belab tha phir bhi asoloon peadd gaya
bhujta howa charagh hawaoo se ladd gaya
kis kis ka saath de koi mailay ki bheed main
phir yun howa wo achanak bichad gaya
main ne qadam bdhaya jo sehra ki dhoop main
ghabra k mera saya mere paoon padd gaya
MOHSIN dil-e-garib ki wairaniyaan tu daikh
kaisa nagar tha jo tere hathoo ujad gaya
----------------------------><---------------------------
suno aisa nahi kerety!
safar tanha nahi kertey!
jise shafaf rekhna ho
ose maila nahi kertey !
bohat ujde hoye ghar pe
bohat socha nahi kertey
safar jis k muqaddar ho
ose rooka nahi kertey
jo mil ker khud se khoo jaye
ose ruswaa nahi kertey
yeh oncheu paid kaise hain'
kahien saya nahi kertey
chalo tum raaz ho apna
tumhain afshaa nahi kertey
teri ankhoo ko padhtey hain
tujhey dekha nahi kertey
sahar se pooch lo MOHSIN
k ham sooya nahi kertey
------------------------------------------
ujde hoye logoo sse garaizaan na howa ker
halat ki kabroon k yeh katbey bhi padha ker
har waqt ka hansana tujhe barbaad na kerde
tanhayi ke lamhoo main kabhi roo bhi liya ker
es shab k muqaddar main saher hi nahi MOHSIN
ham ne dekha hai kayi bar charaghoon ko bhuja ker
------------------------------------------------------------
wafa main ab yeh hunar bhi ikhtiyar kerna hai
wo sach kahay na kahay aitabar kerna hai
yeh tujh ko jagtay rehney ka shooq kab se howa
mujhe tu khair tera intezaar kerna hai
hawa ki zad main jalanay hain ANSOON k charagh
kabhi yeh jashan sar-e-rahguzar bhi kerna hai
wo muskara k naye waswasoon main dal gaya
khayal tha ose sharamsaar ker na hai
KHUDA khabar yeh koi zid k shoq hai MOHSIN
khud apni JAAN K DUSHMAN se pyar kerna hai
----------------------------------------------------------------
ab yeh sochoo tu bhanwar zahen main par jatay hain
kaise chehray hain jo miltay hi bichad jatay hain
mosam-e-zad main ik dil ko bachaoon kaise
Haa kuch diye tund hawaoo se bhi lad jatay hain
sooch ka aina dhundala ho tu phir waqt k saath
pathroon main bhi kabhi MOHSIN ainey jad jatay hain
----------------------------------------------------------------------------
itni shuhrat bhi kaha chahi thi khud se main ne
apne hi shaher ka har shaks adoo mera hai
dhoop chaoon ki yeh rut DIL main tahar janey de
aks tera hai tu saya labey jo mera hai
pathroon se hai MOHABBAT mujhe yun bhi MOHSIN
sangdil shahar main ik aina ro mera hai
wo bazahir jo zmaney se khafa lagta hai
hans k boley bhi tu duniya se juda lagta hai
or kuch dair na bujhney de esy Rabb-e-sahar
doobta chaand meri dest-t-dua main lagta hai
jis se moon phair k rastey ki hawa guzri hai
kisi ujdey hoye angan ka diya lagta hai
moon cchupaye hoye guzra hai jo mujh se aj
os ki ankhoon main koi zakhm naya lagta hai
ab tu MOHSIN k tassavar main uatr Rab-e-jaleel
es udaasi main tu Pathtar bhi khuda lagta hai
----------------------------------------------------------
ik moja subay-e-janoon taiz bohat hai
ik saans ka sheesha hai k labraiz bohat hai
palkoon pe charagh ko sambhaley hoye rekhna
es hijar k mosam ki hawa tiaz bohat hai
kia os k khad-o-khaal khulain apni ghazal main
wo shahar k logoon main kam amaiz bohat hai
MOHSIN os se mila hai tu dukhney do yeh ankhain
kuch dair or bhi jago k wo "SHAB KHAIZ" bohat hai
-------------------------------------------------------------------
rukhsat howa tu baat meri man kar gaya
jo os k pass tha mujhe dhaan kar gaya
bichda kuch es ada se k rut hi badal gayi
ik shaks sarey shahar ko wairaan ker diya
dil chasp waqia tha k kal ik aziz dost
apney mufaad par mujhe qurban kar gaya
kitni sudhar gayi hai judayi main zindagi
haa wo wafa se mujh par ahsaan kar gaya
MOHSIN main baat baat par kehta tha jis ko jaan
Wo shaks akhir mujh ko be jaan kar gaya
------------------------------------------------------------------
soraj ko dafnanaye aye
dhalti shaam k lambey saye
dukh ne sukh ka saans liya hai
kaash koi phir yad na aye
eik hi rasta ham donoo ka
dekhain kon kaha tak jaye
aj ghat se khushboo barsi
jaise koi zulfain lehraye
kaash koi samjhaye os ko
laikin kon ose samjhaye
tujh se yun bichda hoo jaise
patar se sheesha takraye
banjar dharti pooch rahi hai
chaand pe kis ne shahar basaye
wo khushboo ki mooj hai MOHSIN
kon os ki tsveer banaye
--------------------------------------------------------
jala k ager tu bhi asraa ne de mujh ko
yeh khoof hai k hawa phir na bujha de mujh ko
main es khayal se mud mud k dekhta hoo ose
bichad k bhi kahien h phir na sada de mujh ko
tere beghair bhi teri tarah zinda rahoo
yeh hosla bhi dua ker khuda na de mujh ko
main es liye bhi ose khud manaoo ga MOHSIN
k mujh se roothne wala kahien bhula na de mujh ko
--------------------------------------------------------------------
hamrey baad chali rasm dosti k nahi
hawa ki zad pe koi shama jali k nahi
bichad k jab bhi milay mujh se pochta hai wo shaks
k in dinoon koi taza ghazal hoyi k nahi
nikal k jis se howa apna dard awaraa
kisi k dil main wo mehfil bhi phir saji k nahi
suna hai aam thi kal shab ko chaand ki bakhshish
bujhey gharoon main bhi utri hai chandani k nahi
diyyar-e-hijar se aye ho kuch kaho MOHSIN
k sham-e-gham bhi kisi mod per mili k nahi
----------------------------------------------------------------
kaha yeh bas main k khud ko hosla detey
yahi bohat tha k har gham pe muskra detey
hamarey aks main hoti jo zakhm-e-dil ki jhalak
ham ainey ko bhi apni tarah rula detey
hamain bhi jo roshniyoon pe dastaras hoti
kabhi charagh jakatey kabhi bujha detey
hamarey paoon hawaoon ki zad main they werna
guzrati omer ko ruk ruk k sada detey
ab os ki yad se os ka badan trashatey hain MOHSIN
wo khawab bhi tu nahi tha k ham bhula detey
------------------------------------------------------------------
ab mere ay ahsas-e-janoon kia mujhe dena
darya ose bakhsha hai tu sehra mujhe dena
tum apne dil ka makaan jab karoo taqseem
girti hoyi dewaaar ka saya mujhe dena
jab waqt ki murjhati hoyi shaakh sambhalo
es shaakh se toota howa lamhaa mujhe dena
choo jaye hawa jis se tu khushbo teri aye
jatey hoye ik zakhm tu aisa mujhe dena
ik dard ka maila laga hai dil-o-jaan main
ik rooh ki awaaz k rasta mujhe dena
ik tazaa ghazal azn-e-sakhan mang rahi hai
tum apna mahakata howa lehja mujhe dena
wo mujh se kahien badh k museebat main tha "MOHSIN"
reh reh k magar os ka dilasa mujhe dena
(4 Sensitive Heart)
----------------------------------------------------------------------
ankhoon main koi khawab utarney nahi deta
yeh dil k mujhe chain se merney nahi deta
bichdey tu ajab pyar jatata hai khatoon main
mil jaye tu phir had se guzarney nahi deta
wo shaks khizaan rut main bhi muhtaat hai kitna
sookhay hoye phooloon ko bokharney nahi deta
ik rooz teri pyas khareedey ga wo shaks
pani tujhe panghat se jo bharney nahi deta
main os ko manaoon k gham-e-dahar se uljhoon
"MOHSIN" wo koi kaam bhi kerne nahi deta
----------------------------------------------------------------------------------