-----Saqi Malik ----(((Meri-Yad-Rekhna)))
Asslam-o-laikum
Zindagi es tarah guzaro k jb tak tum zinda raho log tum se milne ko tursien or jab tum mar jao tu tumhari yad main "ANSOO" bahain
=========================================================
MOHABBAT
"Tum ko tum
Tum se zada chaha"
" Mohabbat"
Merey shanoon per sir rakh ker aaj wo kisi ki yad main jee bhar ker roya
====================================================
Khuda
jo ulfat main tumhari khoo gaya hai
kisi khoye hoye ko kuch mila hai
na but khaney na kaby main mila hai
magar tootey hoye dil main mila hai
nahi tu tu phir inkaar kaisa
nafi bhi tere honey ka pata
main jis ko keh raha hoo apni hasti
agar wo tu nahi tu os kia hai
nahi aya khiyaloon main ager tu
tu phir main kaise samjho tu KHUDA hai
------------------------------------------------
socha k toot na jaye kisi ka dil
apni tu omer guzari hai esi dekh bhal main
KHALID wo baat ab tu ose yad bhi nahi
ham ji ko khoon ker gaye jis k malal main
------------------------------------------------------------
moahbbat ab nahi ho gi
yeh kuch din baad main ho gi
guzar jayien gey jab yeh di n
yeh in ki yad main ho gi
---------------------------------------------------------
yeh dua hai koi gila nahi
mere hamsafar meri zindagi
wo gulaab hai jo khila nahi
main yeh sochta hoo khuda karey
tujhey zindagi main wo sukh milay
jo mujhe labhi mila nahi
--------------------------------------------------------------
KHAWAHISH
osey anjaney rastoo se guzar janey ki khawahish thi
mohabbat main amar ho janey ki mar janey ki khawahish thi
kisi ko door se dekhan kisi se baat kerni ho
jaha pe din guzar jaye wahien pe raat kerni ho
wo kehta ta mohabbatk koi mosam nahi hota
yeh har mosam ka jazba hai kam nahi hota
adhoosri si mohabbat hai hamain takmeel kerni hai
mohabbat ko naye hab se basar kerne ki khawahish
ose shab bhar jagati thi
na janey konsi chahat osey har pal rulati thi
shanasa tha her eik se bohat anjaan rehta tha
bohat abaad laikin bohat wairan rehta tha
ose har shaks ko hairaan ker janey ki khawahish thi
MOHABBAT main amar ho janey ki mar janey ki khawahish thi
----------------------------------------------------------------------------------------
main os ki shakal ko dil se bhi utar deta ho
main kabhi kabhi khud ko bhi maar deta hoo
yeh mera haq hai k main ose thoda sa dukh doon
main ose chahat bhi tu beshumar deta hoo
-----------------------------------------------------------------
khiltay phoolon ki rida ho jaye
itni hasaas hawa ho jaye
mangtey haath pe kaliyaan rekh de
itna maharbaan KHUDA ho jaye
----------------------------------------------
wo mera doost hai sarey jaha ko hai maloom
dagha karey wo kisi se tu sharam aye mujhe
wo mehar baan hai tu iqraar kiu nahi kerta
wo badgumaan hai tu soo bar azmaye mujhe
main apni zaat main hi neelaam ho raha hoo QATEEL
gham-e-hayat se keh do k dhoond laye mujhe
----------------------------------------------------------------------
meri nafrat ki had thi k main khamoosh uth aya
wagerna tha kaha bas main kisi ki baat ko sehna
muqaddar SAAD kia chay hai koi bhi tu nahi samjha
kisi ki hathkadi hai yeh kisi k haath ka gehna
--------------------------------------------------------------
main ankh se tapkay hoye ashk ki manind
be saya bhi hoo or meri qeemat bhi bohat hai
kafi hai shab-e-gham k liye ik diya bhi
es door main choti si sdaqat bhi bohat hai
-----------------------------------------------------
yun bhi khizaan ka roop suahan laga mujhe
har phoole fasl-e-gull main purana laga mujhe
main kia kisi pe sang uthaney ki sochta
apna hi jism aina khana laga mujhe
ab os ko khoo raha hoo bade itshtiaq se MOHSIN
wo jis ko dhoondaney main zaman laga mujhe
----------------------------------------------------------------
Armaan jo Dil se nikal jaye gugnoo ho jaye
or agar ankhoo main simat aye tu ansoo ho jaye
====================================
Na khool mere ghar k udaas derwazoo ko
hawa ka shoor meri uljhaney badha de ga
main wqif hoo apne dost ki fitrat se
wo jab bhi de ga mujhe dard la dawa de ga
================================
Asmaan k taroo ko haath se choo lain kaise
dil ruba ki batoo ko dil bhala bholain kaise'
ishq ki soghatain hain beqrari tanhayi
yad kuch dil ko aya Ankh main bhar ayi
============================
Paoo geea kiye beghair ham sumandar tu par ker saktey hain
laikin ansoo bahaye beghair zindagi nahi guzar saktey
esi liye
Roona bhi zaroori hai
tumhain yeh kon kehta hia jo dil main beqrari hai
faqat laezoo se batoon se sambhalti hai bahalti hai
main kehta hoo koi bhi gham mahaz hansney hasaney se
tu har giz kam nahi hota k jab tak dil ka daman
Ansooon se nam nahi hota
"MOHABBAT"
Kia Yeh Khuda hai....?
Nit naye naqsh banatey ho mita detey ho
janey kis jurm-e-tamanaa ki saza dety ho
kabhi kankar ko bana dety ho heeray ki kani
kabhi heeroon ko bhi mitti main mila dete ho
zindagi kitney hi murdoo ko ata ki jis ne
wo maseeha bhi saleeboon pe saja detay ho
khawahish-e-deed jo ker baithey sar-e-tor koi
tor hi ban k tajalli se jala detay hoo
nar-e-namrood main dalwatey ho khud apna khaleel
khud hi phir naar ko gulzar bana detay ho
chahay qinnan main phainko kabhi mahi qinnan
noor Yaqoob ki ankhoo ka bhuja detey hoo
de k kabhi Yuosaf ko Misar k bazaroo main
akhir kaar shah-e-Misar bana detay ho
jasbo hasti ki manzil jo puhanchta hai koi
baith ker dil main anal haq ki sada dtay ho
khud hi lagwatay hi kufar k fatway os per
khud hiMansoor ko soli pe chadhaa dete ho
apni hasti bhi wo ik rooz ganwa baithta hai
apney darshan ki lagan jis ko laga dety ho
koi ranjha jo abhio khooj main naklay tumhari
tum ose jhang k bailay main rula detay ho
justajo le k tumhari jo chaley Qais koi
tum ose Majnoo kisi Laila ka bana detay hoo
joot Sassii k agar man main tumhari jagey
tum osey taptay hoye thal main jala detay ho
sohni tum ager mahiwaal tassavar ker lay
tum ose bhipri hoyi lahoroon main baha detay ho
khud jo chaho tu sar-e-arsh bula ker mehboob
eik hi raat main Mairaj kara detay hoo
=================================
TUM IK GRAKH DHANDA HO
................................................................
Qudrat hi insaan ko banati hai
qudrat hi insaan ko bigadti hai
or
qudrat hi insaan ko fana kerti hai
=======================
Kia hai insaan k hath bas kuch lakeerain hain
rab k hathoon main chupi ham sab ki taqdeerain hai
===================================
ay hsilay khaloos bata kia jawab doo
Duniya yeh poochti hai main kiu udaas hoo
kabhi kabhi hum sahi waja k liye ghalat kaam ker baithtay hain es liye hamain zindagi main sirf khush hi rehna chihiye
jab koi hum se bichadta hai tu os ka dukh zaroor hota hai kisi ko kum kisi ko zada or kisi ko adha dukh os k janey ka nahi hota os se bichad na k nahi hota or na hi os k janey ka nahi hota DUKh hota zaroor hai sirf es liye k insaan khud tanha ho jata laikin jab koi doosra aa ker hamarey dukh baanta hai tu hamain tanha k ahsaas khatam ho jata
---------------------------------------------------------------------
Tere Firaq k lamhay shumar kertey hoye
bikhartey chalain hain tera intezaar kertey hoye
tu main bhi khush hoo koi os se jaa ker keh de
agar wo khush haim mujhe beqrar kertey hoye
tumhain khabar hi naho koi toot gaya hai
Mohabbtoo ko Baidar kertey hoye
main Muskurata howa ainey main ubhrooo ga
wo roo pade ga achanak singhar kertey hoye
mujhe khabar thi k ab na loot ker aoo gey
per tujh ko yad kia dil per war kertey hoye
wo keh rahi thi sumandar nahi hai ankhoon main
main on main doob gaya os pe aitbaar kertey hoye
bhanwar ye padey hain main janta hoo
tumhare hijar k driya ko par kertey hoye
--------------------------------------------------------------------
Koi mosam ho dil main hai tumhari yad ka mosam
k badla hi nahi jana tumhare baad ka maosam
nahi tu azmaa ker dekh le kaise badalta hai
tumhare Muskuraney se Dil-e-nashaad ka mosam
rutoon ka qaida hai yeh waqt per ati jati hai
hamarey shaher main hi kiu ruk gaya frayad ka mosam
kahien se os haseen awaaz ki khushboo pukarey gi
tu es k sath badley ka dil-e-barbaad ka mosam
mere shehr-e-paristaan main teri bechand ratoon main
bohat hi yad kerta hoo teri bunyad ka mosam
na koi gham khizaan ka hai na khawahish hai bahroo ki
hamrey saath hai AMJAD kisi ki yad ka mosam
-------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------
bajuz hawa koi janey n atere silsley tere
main janbbi hoo karoo kis se tazkrey tere
yeh kia karq ka mosam hai an nriagr-e-chashm
hawa main rang na khushboo main ziaqy they
main theek se teri chahat tujhe jata na saka
meri raah main haiyel they masley tere
yeh dard kam tu nahi hai k tu haimain na mila
yh or baat haiu k ham bhi na ho sakey tere
judayooon ka tassuver rula gaya tujh ko
charag shaam se pehlay hi bujh gaye tere
hazar neend jalaoon tere beghair magar
main khawab main bhi na dekhoon wo rtjagey tere
kise khabar k hamain ab bhi yad hain MOHSIN
wo kerwatian shab-e-gham ki wo hosley tere
------------------------------------------------------------------------
main dil pe jabar karoon ga tujhe bhula doo ga
main tere shaher k sarey diye bhuja doo ga
esi khayal main guzri hai sham-e-dard aksar
k dard had se badhey ga tu muskraa doo ga
tu asmaan ki sorat hai girr padey ga kabhi
zameen hoo main bhi magar tujh ko asraa doo ga
bohat dinoo se mera dil udaas hai MOSHIN
es ainey ko koi aks ab naya doo ga
-------------------------------------------------------
mujhe khala main bhatakney ki arzoo hi sahi
k tu milay na milay teri justajoo hi sahi
qreeb aa shab-e-tanhayi k tujh se pyar karain
tmama din ki thakan ka elaag tu hi sahi
badey khaloos se bhi milta hai jab bhi milta hai
wo bewafa tu nahi bahana jo hi sahi
yeh naaz kam tu nahi k on se mil aye
wo eik pal k ko sar-e-rah guftagoo hi sahi
Jo apne aap se shermaye kis se baat karey
main ainey ki tara MOHSIN os k robro hi sahi
----------------------------------------------------------------
fan main yeh mojzaa bhi paida ker
pathroon se bashar tarasha ker
kab se apni talash main gum hoo
ay KHUDA mujh ko mujh pe afshaa ker
ay bichad ker na lotney waley!
dukh ki ratoon main yad aya ker
eik tanha shajar ne mujh se kaha !
mere saye main rooz baitha ker
main gharadar hoo andhairoo ka
tu saher hai tu mujh se perda kia kar
ay sumander k abr-e-awarah MOSHIN
dasht main eik pal tu mere saath thehra ker
----------------------------------------------------------------------
kuch dil se...?
Qudrat.......!
jism tadpa hai khaak per tanha
rooh kerti rahi safar tanha !
neend waloon ko kia khabar os ki
kon jaga hau raat bhar tanha
log soye they band kamroo main
chand bhatka hai dar badar tanha
saath deta hai kon manzil tak
saath chalti hai rehguzar tanha
ay gham-e-zindagi ki raat k chaand
mere dil main bhi kabhi utar tanha
es bharey shaher main MOHSIN
dhoond mujh ko nagar nagar tanha
------------------------------------------------------
khushi ka gham hai na gham ki koi khushi ab tu
bohat udaas guzarti hai zindagi ab tu
ik ashna k bichadney se kia nahi badla
hawaye shaher bhi lagti hai ajnabi ab tu
tere beghair bhi dik tasalliyoon k liye
ik intezaar ki shab thi so dhal chuki ab tu
kahaa gaye wo shanasa wo ajnabi chehrey !
ujad si nazar ati hai MOHSIN har gali ab tu
-----------------------------------------------------
Koi mosam ho wasl-o-hijar ka
ham yad rekhtey hain
teri batoon se es dil ko
bohat abad rekhtey hain
kabhi dil k saheefay per
tujhe tasveer kertey hain
kabhi palkoon ki chaoon per
tujhey zanjeer kertey hain
kabhi khawabeedah shamoon main
kabhi barish ki ratoon main
koi mosam ho wasl-o-hijar ka
ham yad rekhtey hain
---------------------------------------
surkh eintoon pe nachti barish ko
yadoon main robro dekho
dil ki duniya hai dosri duniya
aisi duniya ko bawazoo dekho
------------------------------------------------
wo bhoolpan tha har dosrey sitamgar ka
ham apney ap se zada khayal rekhey they
es liye main tera shahar chod aya
waha k log diloon main mala rekhtey they
---------------------------------------------------------------
wo meri tarah riyazat tu main
wo meri tarah tamnaoon ko marey tu sahi
phir main eik hansati hoyi subah ose la ker doo ga
raat wo mere liye roo ker guzarey tu sahi
------------------------------------------------------------------
khoo jati hawaoon main teri akhri tehreer
dil ko tere iqrar per imaan tu rehta
phir milney ka wada hi badi baat hai KHAWAR
phir kon mila magar ahsaan tu rehta
--------------------------------------------------------
Likha hai kis ne lahoo se yeh rait per MOHSIN
Sitam karo tu mere sabar se zada karo
---------------------------------------------------------------
mujhe zaam tha magar main bikhar gaya MOHSIN
wo raiza raiza tha magar apney ikhtiya main tha
-----------------------------------------------------------
os k sab jhoot such sahi MOHSIN
shart itni hai wo boley tu sahi
--------------------------------------------------
wo nahi hai tu es ki chahat main
kis liye din raat sanwartey ho
khud se berabt bataib kertey ho
apna aks nochney k liye
khud ulajhtey ho khud se dertey ho
ham na kehtay they Tumhain MOHSIN
hijar waloon se aina guftago nahi kerta
