-----Saqi Malik ----(((Meri-Yad-Rekhna)))

-----Saqi Malik ----(((Meri-Yad-Rekhna))) Zindagi Photo Page MOHSIN NAQVEE Ahmad Faraz Mail Me Blog

Asslam-o-laikum

Zindagi es tarah guzaro k jb tak tum zinda raho log tum se milne ko tursien or jab tum mar jao tu tumhari yad main "ANSOO" bahain

=========================================================

                    MOHABBAT

    "Tum ko tum

                Tum se zada chaha"

           " Mohabbat"

Merey shanoon per sir rakh ker aaj wo kisi ki yad main jee bhar ker roya

====================================================

Khuda

jo ulfat main tumhari khoo gaya hai

kisi khoye  hoye  ko  kuch  mila  hai

na but khaney na kaby main mila hai

magar tootey  hoye dil main mila hai

nahi  tu  tu  phir  inkaar  kaisa

nafi  bhi  tere  honey   ka  pata

main jis ko keh raha hoo apni hasti

agar  wo  tu  nahi  tu  os  kia  hai

nahi aya khiyaloon main ager tu

tu phir main kaise samjho tu KHUDA hai

------------------------------------------------

socha k toot na jaye kisi ka dil

apni tu omer guzari hai esi dekh bhal main

KHALID wo baat ab tu ose yad bhi nahi

ham ji ko khoon ker gaye jis k malal main

------------------------------------------------------------

moahbbat ab nahi ho gi

yeh kuch din baad main ho gi

guzar jayien gey jab yeh di n

yeh in ki yad main ho gi

---------------------------------------------------------

yeh dua hai koi gila nahi

mere hamsafar meri zindagi

wo gulaab hai jo khila nahi

main yeh sochta hoo khuda karey

tujhey zindagi main wo sukh milay

jo mujhe labhi mila nahi

--------------------------------------------------------------

             KHAWAHISH

osey anjaney rastoo se guzar janey ki khawahish thi

mohabbat main amar ho janey ki mar janey ki khawahish thi

kisi ko door se dekhan kisi se baat kerni ho

jaha pe din guzar jaye wahien pe raat kerni ho

wo kehta ta mohabbatk koi mosam nahi hota

yeh har mosam ka jazba hai kam nahi hota

adhoosri si mohabbat hai hamain takmeel kerni hai

mohabbat ko naye hab se basar kerne ki khawahish

ose shab bhar jagati thi

na janey konsi chahat osey har pal rulati thi

shanasa tha her eik se bohat anjaan rehta tha

bohat abaad laikin bohat wairan rehta tha

ose har shaks ko hairaan ker janey ki khawahish thi

MOHABBAT main amar ho janey ki mar janey ki khawahish thi

----------------------------------------------------------------------------------------

main os ki shakal ko dil se bhi utar deta ho

main kabhi kabhi khud ko bhi maar deta hoo

yeh mera haq hai k main ose thoda sa dukh doon

main ose chahat bhi tu beshumar deta hoo

-----------------------------------------------------------------

khiltay phoolon ki rida ho jaye

itni hasaas hawa ho jaye

mangtey haath pe kaliyaan rekh de

itna maharbaan KHUDA ho jaye

----------------------------------------------

wo mera doost hai sarey jaha ko hai maloom

dagha karey wo kisi se tu sharam aye mujhe

wo mehar baan hai tu iqraar kiu nahi kerta

wo badgumaan hai tu soo bar azmaye mujhe

main apni zaat main hi neelaam ho raha hoo QATEEL

gham-e-hayat se keh do k dhoond laye mujhe

----------------------------------------------------------------------

meri nafrat ki had thi k main khamoosh uth aya

wagerna tha kaha bas main kisi ki baat ko sehna

muqaddar SAAD kia chay hai koi bhi tu nahi samjha

kisi ki hathkadi hai yeh kisi k haath ka gehna

--------------------------------------------------------------

main ankh se tapkay hoye ashk ki manind

be saya bhi hoo or meri qeemat bhi bohat hai

kafi hai shab-e-gham k liye ik diya bhi

es door main choti si sdaqat bhi bohat hai

-----------------------------------------------------

yun bhi khizaan ka roop suahan laga mujhe

har phoole fasl-e-gull main purana laga mujhe

main kia kisi pe sang uthaney ki sochta

apna hi jism aina khana laga mujhe

ab os ko khoo raha hoo bade itshtiaq se MOHSIN

wo jis ko dhoondaney main zaman laga mujhe

----------------------------------------------------------------

Armaan jo Dil se nikal jaye gugnoo ho jaye

or agar ankhoo main simat aye tu ansoo ho jaye

====================================

Na khool mere ghar k udaas derwazoo ko

hawa ka shoor meri uljhaney badha de ga

main wqif hoo apne dost ki fitrat se

wo jab bhi de ga mujhe dard la dawa de ga

================================

Asmaan k taroo ko haath se choo lain kaise

dil ruba ki batoo ko dil bhala bholain kaise'

ishq ki soghatain hain beqrari tanhayi

yad kuch dil ko aya Ankh main bhar ayi

============================

Paoo geea kiye beghair ham sumandar tu par ker saktey hain

laikin ansoo bahaye beghair zindagi nahi guzar saktey

   esi liye

 Roona bhi zaroori hai

tumhain yeh kon kehta hia     jo dil main beqrari hai

faqat laezoo se batoon se sambhalti hai bahalti hai

main kehta hoo koi bhi gham mahaz hansney hasaney se

tu har giz kam nahi hota k jab tak dil ka daman

            Ansooon se nam nahi hota

 

"MOHABBAT"

Kia Yeh Khuda hai....?

Nit naye naqsh  banatey  ho  mita  detey ho

janey kis jurm-e-tamanaa  ki  saza  dety ho

kabhi kankar ko bana dety ho heeray  ki kani

kabhi  heeroon ko  bhi mitti  main  mila  dete ho

zindagi  kitney  hi  murdoo  ko  ata  ki jis  ne

wo  maseeha  bhi  saleeboon  pe  saja  detay ho

khawahish-e-deed jo ker baithey sar-e-tor koi

tor  hi  ban  k  tajalli  se  jala  detay   hoo

nar-e-namrood main dalwatey ho khud apna khaleel

khud  hi  phir  naar  ko  gulzar  bana  detay  ho

chahay qinnan main phainko kabhi mahi qinnan

noor Yaqoob ki ankhoo ka bhuja detey hoo

de k kabhi  Yuosaf ko Misar k bazaroo main

akhir kaar  shah-e-Misar  bana detay  ho

jasbo hasti ki manzil  jo  puhanchta  hai koi

baith ker dil  main  anal haq ki sada dtay ho

khud hi lagwatay  hi  kufar  k  fatway  os per

khud hiMansoor ko soli pe chadhaa dete ho

apni hasti bhi wo ik rooz ganwa   baithta  hai

apney darshan  ki  lagan  jis  ko  laga  dety ho

koi ranjha jo  abhio khooj main naklay tumhari

tum ose jhang  k  bailay  main  rula  detay  ho

 justajo  le  k  tumhari  jo  chaley  Qais  koi

tum ose Majnoo  kisi  Laila ka  bana  detay hoo

joot  Sassii  k  agar  man  main   tumhari  jagey

tum osey  taptay  hoye  thal  main  jala  detay  ho

sohni  tum  ager   mahiwaal   tassavar   ker   lay

tum ose bhipri hoyi lahoroon main baha detay ho

khud jo chaho tu sar-e-arsh bula ker mehboob

eik  hi   raat   main   Mairaj   kara   detay   hoo

=================================

TUM IK GRAKH DHANDA HO

................................................................

Qudrat hi insaan ko banati hai

qudrat hi insaan ko bigadti hai
              or

qudrat hi insaan ko fana kerti hai

=======================

Kia hai insaan k hath bas kuch lakeerain hain

rab k hathoon main chupi ham sab ki taqdeerain hai

===================================

ay hsilay khaloos bata kia jawab doo

Duniya yeh poochti hai main  kiu udaas hoo

kabhi kabhi hum sahi waja k liye ghalat kaam ker baithtay hain es liye hamain zindagi main sirf khush hi rehna chihiye

jab koi hum se bichadta hai tu os ka dukh zaroor hota hai kisi ko kum kisi ko zada or kisi ko adha dukh os k janey ka nahi hota os se bichad na k nahi hota or na hi os k janey ka nahi hota DUKh hota zaroor hai sirf es liye k insaan khud tanha  ho jata laikin jab koi doosra aa ker hamarey dukh  baanta hai tu hamain tanha k ahsaas khatam ho jata

---------------------------------------------------------------------

Tere Firaq k lamhay shumar kertey hoye

bikhartey chalain hain tera intezaar kertey hoye

tu main bhi khush hoo koi os se jaa ker keh de

agar wo khush haim mujhe beqrar kertey hoye

tumhain khabar hi naho koi toot gaya hai

Mohabbtoo ko Baidar kertey hoye

main Muskurata howa ainey main ubhrooo ga

wo roo pade ga achanak singhar kertey hoye

mujhe khabar thi k ab na loot ker aoo gey

per tujh ko yad kia dil per war kertey hoye

wo keh rahi thi sumandar nahi hai ankhoon main

main on main doob gaya os pe aitbaar kertey hoye

bhanwar ye padey hain main janta hoo

tumhare hijar k driya ko par kertey hoye

--------------------------------------------------------------------

Koi mosam ho dil main  hai tumhari yad ka mosam

k badla hi nahi jana tumhare baad ka maosam

nahi tu azmaa ker dekh le kaise badalta hai

tumhare Muskuraney se Dil-e-nashaad ka mosam

rutoon ka qaida hai yeh waqt per ati jati hai

hamarey shaher main hi kiu ruk gaya frayad ka mosam

kahien se os haseen awaaz ki khushboo pukarey gi

tu es k sath badley ka dil-e-barbaad ka mosam

mere shehr-e-paristaan main teri bechand ratoon main

bohat hi yad kerta hoo teri bunyad ka mosam

na koi gham khizaan ka hai na khawahish hai bahroo ki

hamrey saath hai AMJAD kisi ki yad ka mosam

-------------------------------------------------------------------

 ------------------------------------------------

bajuz hawa koi janey n atere silsley tere

main janbbi hoo karoo kis se tazkrey tere

yeh kia karq ka mosam hai an nriagr-e-chashm

hawa main rang na khushboo main ziaqy they

main theek se teri chahat tujhe jata na saka

meri raah main haiyel they masley tere

yeh dard kam tu nahi hai k tu haimain na mila

yh or baat haiu  k ham bhi na ho sakey tere

judayooon ka tassuver rula gaya tujh ko

charag shaam se pehlay hi bujh gaye tere

hazar neend jalaoon tere beghair magar

main khawab main bhi na dekhoon wo rtjagey tere

kise khabar k hamain ab bhi yad hain MOHSIN

wo kerwatian shab-e-gham ki wo hosley tere

------------------------------------------------------------------------

main dil pe jabar karoon ga tujhe bhula doo ga

main tere shaher k sarey diye bhuja doo ga

esi khayal main guzri hai sham-e-dard aksar

k dard had se badhey ga tu muskraa doo ga

tu asmaan ki sorat hai girr padey ga kabhi

zameen hoo main bhi magar tujh ko asraa doo ga

bohat dinoo se mera dil udaas hai MOSHIN

es ainey ko koi aks ab naya doo ga

-------------------------------------------------------

mujhe khala main bhatakney ki arzoo hi sahi

k tu milay na milay teri justajoo hi sahi

qreeb aa shab-e-tanhayi k tujh se pyar karain

tmama din ki thakan ka elaag tu hi sahi

badey khaloos se bhi milta hai jab bhi milta hai

wo bewafa tu nahi bahana jo hi sahi

yeh naaz kam tu nahi k on se mil aye

wo eik pal k ko sar-e-rah guftagoo hi sahi

Jo apne aap se shermaye kis se baat karey

main ainey ki tara MOHSIN os k robro hi sahi

----------------------------------------------------------------

fan main yeh mojzaa bhi paida ker

pathroon se bashar tarasha ker

kab se apni talash main gum hoo

ay KHUDA mujh ko mujh pe afshaa ker

ay bichad ker na lotney waley!

dukh ki ratoon main yad aya ker

eik tanha shajar ne mujh se kaha !

mere saye main rooz baitha ker

main gharadar hoo andhairoo ka

tu saher hai tu mujh se perda kia kar

ay sumander k abr-e-awarah MOSHIN

dasht main eik pal tu mere saath thehra ker

----------------------------------------------------------------------

kuch dil se...?

Qudrat.......!

jism tadpa hai khaak per tanha

rooh kerti rahi safar tanha !

neend waloon ko kia khabar os ki

kon jaga hau raat bhar tanha

log soye they band kamroo main

chand bhatka hai dar badar tanha

saath deta hai kon manzil tak

saath chalti hai rehguzar tanha

ay gham-e-zindagi ki raat k chaand

mere dil main bhi kabhi utar tanha

es bharey shaher main MOHSIN

dhoond mujh ko nagar nagar tanha

------------------------------------------------------

khushi ka gham hai na gham ki koi khushi ab tu

bohat udaas guzarti hai zindagi ab tu

ik ashna k bichadney se kia nahi badla

hawaye shaher bhi lagti hai ajnabi ab tu

tere beghair bhi dik tasalliyoon k liye

ik intezaar ki shab thi so dhal chuki ab tu

kahaa gaye wo shanasa wo ajnabi chehrey !

ujad si nazar ati hai MOHSIN har gali ab tu

 

 

 

-----------------------------------------------------

 

 

Koi mosam ho wasl-o-hijar ka

 ham yad rekhtey hain

teri batoon se es dil ko

 bohat abad rekhtey hain

kabhi dil k saheefay per

 tujhe tasveer kertey hain

kabhi palkoon ki chaoon per

tujhey zanjeer kertey hain

kabhi khawabeedah shamoon main

kabhi barish ki ratoon main

koi mosam ho wasl-o-hijar ka

ham yad rekhtey hain

---------------------------------------

surkh eintoon pe nachti barish ko

yadoon main robro dekho

dil ki duniya hai dosri duniya

aisi duniya ko bawazoo dekho

------------------------------------------------

wo bhoolpan tha har dosrey sitamgar ka

ham apney ap se zada khayal rekhey they

es liye main tera shahar chod aya

waha k log diloon main mala rekhtey they

---------------------------------------------------------------

wo meri tarah riyazat tu main

wo meri tarah tamnaoon ko marey tu sahi

phir main eik hansati hoyi subah ose la ker doo ga

raat wo mere liye  roo ker guzarey tu sahi

------------------------------------------------------------------

khoo jati hawaoon main teri akhri tehreer

dil ko tere iqrar per imaan tu rehta

phir milney ka wada hi badi baat hai KHAWAR

phir kon mila magar ahsaan tu rehta

--------------------------------------------------------

Likha hai kis ne lahoo se yeh rait per MOHSIN

Sitam karo tu mere sabar se zada karo

---------------------------------------------------------------

mujhe zaam tha magar main bikhar gaya MOHSIN

wo raiza raiza tha magar apney ikhtiya main tha

-----------------------------------------------------------

os k sab jhoot such sahi MOHSIN

shart itni hai wo boley tu sahi

--------------------------------------------------

wo nahi hai tu es ki chahat main

kis liye din raat sanwartey ho

khud se berabt bataib kertey ho

apna aks nochney k liye

khud ulajhtey ho khud se dertey ho

ham na kehtay they Tumhain MOHSIN

hijar waloon se aina guftago nahi kerta

 

Ham Dil se Jise Chahain ose kaise bhool jayien